guzar gae kai mausam kai ruten badlin
udaas tum bhi ho yaaro udaas ham bhi hain
faqat tumhin ko nahin ranj-e-chak-damani
ki sach kahen to darida-libas ham bhi hain
tumhare baam ki shamen bhi tabnak nahin
mire falak ke sitare bhi zard zard se hain
tumhare aina-khane bhi zang-aluda
mire surahi o saghar bhi gard gard se hain
na tum ko apne khad-o-khal hi nazar aaen
na main ye dekh sakun jaam men bhara kya hai
basaraton pe vo jaale pade ki donon ko
samajh men kuchh nahin aata ki majra kya hai
na sarv men vo ghurur-e-kashida-qamati hai
na qumriyon ki udasi men kuchh kami aai
na khil sake kisi janib mohabbaton ke gulab
na shakh-e-amn liye fakhta koi aai
tumhen bhi zid hai ki mashq-e-sitam rahe jaari
hamen bhi naaz ki jaur-o-jafa ke aadi hain
tumhen bhi zoam maha-bharta ladi tum ne
hamen bhi fakhr ki ham karbala ke aadi hain
sitam to ye hai ki donon ke margh-zaron se
hava-e-fitna o bu-e-fasad aati hai
alam to ye hai ki donon ko vahm hai ki bahar
adu ke khuun men nahane ke baad aati hai
to ab ye haal hua is darindagi ke sabab
tumhare paanv salamat rahe na haath mire
na jiit jiit tumhari na haar haar miri
na koi saath tumhare na koi saath mire
hamare shahron ki majbur o be-nava makhluq
dabi hui hai dukhon ke hazar dheron men
ab un ki tira-nasibi charagh chahti hai
jo log nisf sadi tak rahe andheron men
charagh jin se mohabbat ki raushni phaile
charagh jin se dilon ke dayar raushan hon
charagh jin se ziya amn-o-ashti ki mile
charagh jin se diye be-shumar raushan huun
tumhare des men aaya huun dosto ab ke
na saz-o-naghma ki mahfil na shairi ke liye
agar tumhari ana hi ka hai saval to phir
chalo main haath badhata huun dosti ke liye
Leave a Reply