baat hai aap ki ghazab ki baat
kaash farmate koi Dhab ki baat
muḳhtalif hai zaban dushman-o-dost
ek hoti nahin hai sab ki baat
jhanjhana uTThe saz-e-dil sab ke
al-aman tere zer-e-lab ki baat
ashiyana kahan kahan ye qafas
ab kise yaad hogi jab ki baat
dil ne aḳhir nigah ko Toka
be-adab kah gaya adab ki baat
dard-e-dil puchh dard valon se
jan-ba-lab jaane jan-ba-lab ki baat
mausam-e-gul pe tabsira hai abas
ghuncha-o-gul se tum ne kab ki baat
sab ke lab par hain tazkire kal ke
koi kahta nahin hai ab ki baat
sham.a raushan hui hai aḳhir-e-shab
sub.h ko yaad aa.i shab ki baat
dil ko bhaa.i bas un ki baat ‘ashraf’
yuun to sunne ko sun li sab ki baat
Leave a Reply