kya kahun dil mail-e-zulf-e-dota kyunkar hua
ye bhala changa giraftar-e-bala kyunkar hua
jin ko mehrab-e-ibadat ho kham-e-abru-e-yar
un ka kaabe men kaho sajda ada kyunkar hua
dida-e-hairan hamara tha tumhare zer-e-pa
ham ko hairat hai ki paida naqsh-e-pa kyunkar hua
nama-bar khat de ke us nau-khat ko tu ne kya kaha
kya khata tujh se hui aur vo khafa kyunkar hua
khaksari kya ajab khove agar dil ka ghubar
khaak se dekho ki aina safa kyunkar hua
jin ko yaktai ka daava tha vo misl-e-aina
un ko hairat hai ki paida dusra kyunkar hua
tere danton ke tasavvur se na tha gar abdar
jo baha aansu vo durr-e-be-baha kyunkar hua
jo na hona tha hua ham par tumhare ishq men
tum ne itna bhi na puchha kya hua kyunkar hua
vo to hai na-ashna mashhur aalam men ‘zafar’
par khuda jaane vo tujh se ashna kyunkar hua
Leave a Reply