
Zohheb Farooqui Afrang
palaT kar na dekhenge tum ko dobara
chalo ab ye va.ada hai tum se hamara
main vo to nahin huun jo hota raha huun
magar ab na hoga vo hona gavara
kahin fa.eda to nazar hi na aa.e
jahan dekhiye bas ḳhasara ḳhasara
jo miTTi men milna hai sab ko yahin ki
to karte bhi kyon ho hamara tumhara
hamen saaf lafzon men khul kar batao
samajhte nahin ham ishara-vishara
ye kya majra hai musibat hai kaisi
jahan jaa.en nazren vahin vo nazara
banao vo kirdar apna ki duniya
ye soche zamin par hai koi sitara
hamen apne uupar bharosa hai puura
rakho paas apne tum apna sahara
ki mushkil men ‘afrang’ ye yaad rakhna
yaqinan samundar ka hoga kinara

Leave a Reply