har be-ḳhata hai aaj ḳhata-kar dekhna
sachcha.iyon pe jhuuT ki yalghar dekhna
taqdir ban na jaa.e shab-e-tar dekhna
bujhne ko hai charagh sar-e-dar dekhna
maqtul ki jabin pe hai qatil likha hua
kya faisla ho kal sar-e-darbar dekhna
hoga bahut shadid tamazat ka intiqam
saa.e se mil ke ro.egi divar dekhna
in pattharon ke saa.e men rukna fuzul hai
be-barg-o-be-samar hain ye kohsar dekhna
is shahr-e-arzu ko nazar kis ki kha ga.i
maqtal bane hain kucha-o-bazar dekhna
kuchh din agar ye mausam-e-vahshat-asar raha
har aadmi ko be-dar-o-divar dekhna
deta huun kaise jaan sar-e-jada-e-vafa
mujh ko na dekhna mira pindar dekhna
ḳhun-e-jigar se likhta huun ‘saghar’ main harf-e-haq
vaqt aa.e to qalam ko bhi talvar dekhna
Leave a Reply