haath us ke na aaya daman-e-naz
ishq ko sunte hi the dast-daraz
bait-e-abru hai maḳhzan-e-asrar
ḳhat hai chehre ka sharh-e-gulshan-e-raz
dekh kar chashm ḳhun-e-dil rona
kahin ifsha na ho kisi ka raaz
kyuun na badnam huun jahan men main
dil hai bad-ḳhvah chashm hai ghammaz
ek dil ke liye ye fauj-kashi
ishva-o-naz ghamza-o-andaz
jab bulata ayaaz ko mahmud
kuchh na kahta siva.e banda-navaz
jab tak us se niyaz-e-dil na kahun
nahin paḌhne ka ai ‘raza’ main namaz
Leave a Reply