Dard Ka Haal Aah Se Puchho

dard kā haal aah se pūchho

dil kī bāteñ nigāh se pūchho

azmat-e-rahmat-e-ḳhudāvandī

ārzū-e-gunāh se pūchho

un kī paiham navāzishoñ kā asar

mere hāl-e-tabāh se pūchho

dil-e-ḳhuddār kī zabūñ-hālī

hosh izz o jaah se pūchho

pastie-e-har-bulandi-e-duniyā

muntahā-e-nigāh se pūchho

arsh par kyuuñ dimāġh ‘arsh’ uḌā

muft kī vaah vaah se pūchho

Leave a Comment