Ek Meri Jaan Mein Aur Ek Lahar Sahraon Mein Thi

ek merī jaañ meñ aur ik lahar sahrāoñ meñ thī

kuchh nukīle sañg the kuchh ret dariyāoñ meñ thī

kyā huā vo garm dopahroñ meñ yaḳh honā mirā

kyā huī vo dhuup sī lazzat ki jo chhāñv meñ thī

kyā ḳhabar kyā jism the kyuuñ mauj-e-sahrā ho ga.e

kyā batā.eñ kis balā kī guuñj dariyāoñ meñ thī

shahr vaale kab ke mahrūm-e-basārat ho chuke

ratjage kī rasm to bas aañkh ke gaañv meñ thī

apne saudā ke liye ye izzat-e-sañg-e-rasā

kuchh adū ke haath meñ kuchh apnī rekhāoñ meñ thī

ab to jismoñ meñ lahū kī buuñd tak baaqī nahīñ

phir bhī ham ko lūTne kī hirs āqāoñ meñ thī

tū agar āzād lamhoñ kā payambar hai ‘najīb’

raat kī zanjīr kyuuñ phir vaqt ke paañv meñ thī

Leave a Comment