tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin
duniya bhi mire vaste jannat se kam nahin
chaha hai tujh ko tujh pe luTa.i hai zindagi
tere alava kuchh mira din-o-dharam nahin
vo bad-nasib rahat-e-hasti na pa saka
jis pe mire habib ki chashm-e-karam nahin
main banda-e-sanam sahi kafir sahi magar
paa.e mira maqam kisi men ye dam nahin
us raste men sar ko jhukana haram hai
jis raste men aap ka naqsh-e-qadam nahin
ai aane vaale apni jabin ko jhuka kar aa
ye astan-e-yar hai ku-e-haram nahin
ahl-e-junun ka is liye mashrab juda raha
vaqif niyaz-e-ishq se shaiḳh-e-haram nahin
munkir rah-e-vafa men ‘fana’ kis tarah se ho
mera jahan men koi vajud-o-adam nahin
Leave a Reply