kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na
us ka to kya gaya ab tera hi ji gaya na
sau baar main ne jhanka chilman se us ko lekin
itna kaha na us ne kya dekhta hai aa na
main khuub ro chuka huun zalim bas aur mujh ko
azurdagi ki baten kah kah ke tu rula na
jaate hi yaar ke tu kahta tha mar rahunga
vaqt-e-vidaa ai dil akhir tu mar gaya na
kal main ne hanste hanste puchha ki koi dam yaan
farmaiye to main bhi baitha rahun ki ya na
tevri chadha ke bola chal chal khabar le apni
ji lag raha hai tera jidhar tu apne ja na
kahta na tha ki har dam us ki gali men mat ja
is baat ka ab akhir charcha ‘hasan’ hua na
Leave a Reply