khvab hi khvab kab talak dekhun
kaash tujh ko bhi ik jhalak dekhun
chandni ka saman tha aur ham tum
ab sitare palak palak dekhun
jaane tu kis ka ham-safar hoga
main tujhe apni jaan talak dekhun
band kyuun zaat men rahun apni
mauj ban jaun aur chhalak dekhun
subh men der hai to phir ik baar
shab ke rukhsar se dhalak dekhun
un ke qadmon tale falak aur main
sirf pahnai-e-falak dekhun
Leave a Reply