Kaun Hun Kya Hun Batati Nahin Surat Meri

kaun huuñ kyā huuñ batātī nahīñ sūrat merī

aa.ine meñ bhī hai rū-posh haqīqat merī

barf sī yuuñ to jamī rahtī hai hoñToñ pe magar

sho.ala ban jaatī hai āñkhoñ meñ sadāqat merī

dastakeñ shor meñ tabdīl hoñ is se pahle

kaash le jaa.e koī mujh se samā.at merī

ye bhī mausam kā taqāzā hai ki ġhunche kī tarah

har na.ī shāḳh pe khil jaatī hai hairat merī

hādisa mere muqaddar meñ ye likkhā hī nahīñ

varna dam toḌ chukī hotī sharāfat merī

Leave a Comment