vo ho kaisa hi dubla taar bistar ho nahin sakta
ghalat hai aadmi is tarah laghar ho nahin sakta
kabhi aansu ka qatra misl-e-gauhar ho nahin sakta
ghalat hai abr-e-naisan dida-e-tar ho nahin sakta
miyan majnun hon chahe kohkan ho donon ḳhabti the
kisi ka kuchh bhi un se ḳhaak patthar ho nahin sakta
kamar jis ke na ho vo baar se kyuun kar chalega phir
ḳhilaf-e-aql hai ye is tarah par ho nahin sakta
kaho phir ye kamar moTi hai sar chhoTa hai dilbar ka
nahin to phir qad-e-janan sanobar ho nahin sakta
vo ḳhatt-e-shauq ke jitne pulande chahe le jaa.e
mulazim Dak-ḳhane men kabutar ho nahin sakta
‘zarif’ a.ina de kar Darvin-sahab ko samjha do
na ho jab tak sharir insan bandar ho nahin sakta
Leave a Reply