sar jhukae sar-e-mahshar jo gunahgar aae
us ke andaz pe rahmat ko na kyuun pyaar aae
jam-o-paimana se mai-khana se kya kaam use
ho ke saaqi ki nigahon se jo sarshar aae
di sada dil ne zara aur bhi dushvar ho raah
raste jab bhi mire samne hamvar aae
zindagi kyuun na mire maut pe un ki jo log
muskurate hue zindan se sar-e-dar aae
main ne tazin-e-chaman ke liye khuun apna diya
paae phuul auron ne hisse men mire khaar aae
bankpan apni tabiat ka kabhi kam na hua
samne apne koi laakh tarah-dar aae
aise jan-bazon ki ban jaae na kyuun maut hayat
muskurate hue ‘asi’ jo sar-e-dar aae
Leave a Reply