rahta hai kab ik ravish par asman
khata hai chakkar pe chakkar asman
kar diya barbad ik dam men mujhe
kya kiya tu ne sitamgar asman
aah karte hain hazaron dil-figar
par na tuuta tera khanjar asman
raund dalun paanv ke niche tujhe
dil men aata hai jafa-gar asman
raat ko barsata hai patthar agar
din ko barsata hai akhgar asman
Leave a Reply