haal dil ka use jatana kya
na sune jo use sunana kya
aa.e jab aage aise zalim ke
jaur-e-gardun se munh chhupana kya
ham se chalta hai TeḌh ki ai lo
ho gaya hai falak divana kya
sarfaroshon ki hai ye ain murad
ku-e-qatil men ja ke aana kya
puchhte kya ho maskan-e-ashiq
be-gharon ka aji Thikana kya
jan-o-dil le ke ab ḳhafa hai kyuun
ham ne kahna tira na maana kya
dil-e-ḳhud-rafta ka ilaaj kare
koi nadan aur daana kya
le ke dil jo ki dushman-e-jan ho
‘aish’ aise se dil lagana kya
Leave a Reply