haq mujhe batil-ashna na kare
main buton se phirun khuda na kare
dosti bad bala hai is men khuda
kisi dushman ko mubtala na kare
hai vo maqtul kafir-e-nemat
apne qatil ko jo dua na kare
ru mire ko khuda qayamat tak
pusht-e-pa se tiri juda na kare
naseho ye bhi kuchh nasihat hai
ki ‘yaqin’ yaar se vafa na kare
Leave a Reply