main shayad tum ko yaksar bhulne vaala huun
shayad jan-e-jan shayad
ki ab tum mujh ko pahle se ziyada yaad aati ho
hai dil ghamgin bahut ghamgin
ki ab tum yaad dildarana aati ho
shamim-e-dur-manda ho
bahut ranjida ho mujh se
magar phir bhi
masham-e-jan men mere ashti-mandana aati ho
judai men bala ka iltifat-e-mehramana hai
qayamat ki khabar-giri hai
behad naz-bardari ka aalam hai
tumhare rang mujh men aur gahre hote jaate hain
main darta huun
mire ehsas ke is khvab ka anjam kya hoga
ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar
jazbon ke bairi vaqt ki sazish na ho koi
tumhare is tarah har lamha yaad aane se
dil sahma hua sa hai
to phir tum kam hi yaad aao
mata-e-dil mata-e-jan to phir tum kam hi yaad aao
bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal men ab tak
sabhi kuchh to na bah jaae
ki mere paas rah bhi kya gaya hai
kuchh to rah jaae
Leave a Reply