chheḌ kar tazkira-e-daur-e-javani roya
raat yaron ko suna kar main kahani roya
zikr tha kucha o bazar ke hangamon ka
jaane kya soch ke vo yusuf-e-sani roya
ghairat-e-ishq ne kya kya na baha.e aansu
sun ke baten tiri ghairon ki zabani roya
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ik taaza bahar
dekh kar main tiri tasvir purani roya
chashm-e-arbab-e-vafa hai jo lahu roti hai
ghair phir ghair hai roya bhi to paani roya
teri mahki hui sanson ki laven yaad aa.iin
aaj to dekh ke main sub.h suhani roya
ai vatan jab bhi sar-e-dasht koi phuul khila
dekh kar tere shahidon ki nishani roya
Leave a Reply