kaisa manzar tha ki kuchh tufan sa tha ek baar
chhin kar tujh se main dil ko le gaya tha ek baar
ye miri ḳhush-qismati thi bach gaya tha bal-bal
nafraton ka mujh pe bhi patthar gira tha ek baar
khulte honTon par gulon ke chha ga.i pazhmurdagi
kya saba ne dard ka tohfa diya tha ek baar
aur kya mujh ko tiri dahliz se hasil hua
kaghzi ḳhushiyon ka guldasta mila tha ek baar
asman se gir paḌa andhi zamin ke jism par
be-tahasha shauq ka taa.ir uḌa tha ek baar
main hava-e-hijr ki tasir se huun ba-ḳhabar
bahr-e-azam bhi laraz kar chiḳh uTha tha ek baar
Leave a Reply