ik tishna-lab ne baḌh ke jo saghar uTha liya
har bul-havas ne mai-kada sar par uTha liya
maujon ke ittihad ka aalam na puchhiye
qatra uTha aur uTh ke samundar uTha liya
tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe ḳhanjar uTha liya
main aisa bad-nasib ki jis ne azal ke roz
phenka hua kisi ka muqaddar uTha liya
Leave a Reply