• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Ajab Hi Silsila Tha Main Na Tha

Ek Ajab Hi Silsila Tha Main Na Tha

ik ajab hi silsila tha main na tha

mujh men koi rah raha tha main na tha

main kisi ka aks huun mujh par khula

aa.ine ka aa.ina tha main na tha

main tumhara mas.ala hargiz na tha

ye tumhara mas.ala tha main na tha

phir khula main donon ke mabain huun

ik zara sa fasla tha main na tha

ek ziine par qadam jaise ruken

tiri rah ka marhala tha main na tha

vo jo ik gum-karda-rah tha dasht men

vo to mera rahnuma tha main na tha

unchi nichi raah mahv-e-raqs thi

Dagmagata rasta tha main na tha

tum ne jis se samt puchhi dasht men

vo koi qibla-numa tha main na tha

ye kahani thi magar meri na thi

vo jo mard-e-majra tha main na tha

main to apni shaḳh se tha muttasil

paat jo vaqf-e-hava tha main na tha

ḳhud se mil kar bujh gaya tha main to kal

diip jo shab bhar jala tha main na tha

main na tha kahta tha jo har baat par

vo to koi dusra tha main na tha

main to ‘ahmad’ kab se mahv-e-yas huun

kal jo mahfil men hansa tha main na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-ahad-saaz

Ek Ima Ek Ishaara Mar Raha Hai

shabnam-shakeel

ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain

Nind Mein Kahi Ghazal

poet

Ki Tu Ne Lab-Kushai to Kis Ke Huzur Ki

Lahu Aankhon Mein Jamta Ja Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet