• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gunahon Se Nashw-O-Numa Pa Gaya Dil

Gunahon Se Nashw-O-Numa Pa Gaya Dil

gunahon se nashv-o-numa pa gaya dil

dar-e-puḳhta-kari pe pahuncha gaya dil

agar zindagi muḳhtasar thi to phir kya

isi men bahut aish karta gaya dil

ye nannhi si vus.at ye nadan hasti

na.e se naya bhed kahta gaya dil

na tha koi ma.abud par rafta rafta

ḳhud apna hi ma.abud banta gaya dil

nahin girya o ḳhanda men farq koi

jo rota gaya dil to hansta gaya dil

baja.e dil ik talḳh aansu rahega

agar un ki mahfil men aaya gaya dil

pareshan raha aap to fikr kya hai

mila jis se bhi us ko bahla gaya dil

ka.i raaz pinhan hain lekin khulenge

agar hashr ke roz pakḌa gaya dil

bahut ham bhi chalak bante the lekin

hamen baton baton men bahka gaya dil

kahi baat jab kaam ki ‘mira-ji’ ne

vahin baat ko jhaT se palTa gaya dil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sajida-zaidi

Hayat Ki Be-Rukhi Nai Hai Na Apni Kam-Maegi Nai Hai

ahmad-faraz

Jaan Se Ishq Aur Jahan Se Gurez

Hayat Kya Hai Maal-E-Hayat Kya Hoga

poet

Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand

poet

Kita Kahin Pukar Ai Ghafil Biya Biya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet