ek sajda ḳhush-gulu ke aage sahvan ho gaya
us pe koi mo’tariz hoga to qasdan ho gaya
kufr ka fatva hua sadir to ḳhush-qismat tha main
tazkira mera bhi har masjid men zimnan ho gaya
anan-fanan men kisi ne dast-giri ki miri
kaam tha mushkil ka ahlan aur sahlan ho gaya
tauan-o-karhan baḌhate hain mulaqaton ko haath
sab se yarana mira mauquf qat.an ho gaya
ḳhvab hi is baar dekha tha kabhi main ne jise
du-badu us se tasadum ittifaqan ho gaya
mustahiq jannat ka ik ‘kavish’ nahin vo bhi to hai
qatl mera ek jahil se jo shar.an ho gaya
Leave a Reply