• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye

Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye

jiite hain kaise aisi misalon ko dekhiye

parda uTha ke chahne valon ko dekhiye

kya dil jigar hai chahne valon ko dekhiye

mere sukut apne savalon ko dekhiye

ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile

dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye

kya dekhte hain aap bahar-e-numu abhi

jab eḌiyon tak aa.en to balon ko dekhiye

tabqe zamin ke hon ki hon auraq-e-asman

qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye

himmat ko dekhiye ki vahi mard-e-kar hai

faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye

taqlid kyuun ḳhayal o zaban men kisi ki ho

apne ḳhayal apne maqalon ko dekhiye

dushman pe bhi nigah rahe aib-bin hai vo

ye kya ki sirf chahne valon ko dekhiye

saaqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye

sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye

dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho ‘aziz’

masjid ko dekhiye na shivalon ko dekhiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tamam Shahr to Be-Mehr Nind so Raha Tha

Baja Ki Kashti Hai Para Para thapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum

Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae

Pahunche to Mere Gham Ki Sada Tere Shahar Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet