ik aas to hai koi sahara nahin to kya
raste men kuchh shajar to hain saaya nahin to kya
rahta hai koi shaḳhs mire dil ke aas paas
main ne use qarib se dekha nahin to kya
tu hi bata ki chahen tujhe aur kis tarah
ye teri justuju ye tamanna nahin to kya
ham duur duur rah ke bhi chalte rahe hain saath
ham ne qadam qadam se milaya nahin to kya
reg-e-ravan ki tarah hain saare ta.alluqat
tum ne kisi ka saath nibhaya nahin to kya
vaise hamen to pyaas men dariya ki thi talash
ab ye sarab hi sahi dariya nahin to kya
socha bhi tum ne dasht chaman kaise ban gaya
mehnat ka ye araq ye pasina nahin to kya
‘mohsin’ miri nigah ko achchha laga vahi
duniya ki vo nazar men jo achchha nahin to kya
Leave a Reply