kabhi kabhi yuun bhi ham ne apne ji ko bahlaya hai
jin baton ko khud nahin samjhe auron ko samjhaya hai
ham se puchho izzat valon ki izzat ka haal kabhi
ham ne bhi ik shahr men rah kar thoda naam kamaya hai
us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyuun
angan men hanste bachchon ko be-karan dhamkaya hai
us basti se chhut kar yuun to har chehre ko yaad kiya
jis se thodi si an-ban thi vo aksar yaad aaya hai
koi mila to haath milaya kahin gae to baten kiin
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai
Leave a Reply