• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Mein Utri Hai Nigah Rah Gain Bahar Palken

dil Mein Utri Hai Nigah Rah Gain Bahar Palken

poet

dil men utri hai nigah rah gaiin bahar palken

kya khadang-e-nigah-e-yar ki hain par palken

fart-e-hairat se ye be-his hain sarasar palken

ki huiin aina-e-chashm ki jauhar palken

ye darazi hai ki vo shokh jidhar aankh uthae

ja pahunchti hain nigahon ke barabar palken

kya tamasha hai ki daale mire dil men surakh

aur khuun men na huiin un ki kabhi tar palken

nargis us ghairat-e-gul-zar se kya aankh milae

aankh bhi vo ki nahin jis ko mayassar palken

hai gham-e-marg-e-adu bhi but-e-kafir ka banav

qatra-e-ashk se hain rishta-e-gauhar palken

chaat deta hai tira dil unhen khun-rezi ki

tez karti hain isi sang pe khanjar palken

li gaiin dil ko vo duzdida nigahen ab yaan

kya dhara hai jo chadha laati hain lashkar palken

kiina kuchh shart nahin un ki dil-azari ko

nish-e-aqrab hain tiri shokh sitam kar palken

hai yahi girya-e-khunin to kisi din ‘nazim’

yuun hi rah jaengi aapas men jhapak kar palken

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Harf Ke Phul Chun Ke Late The

Ek Shaghl Shab-E-Hijr Ki Zinat Ki Tarah Hai

Main Intiha-E-Yas Mein Tanha khaDa Raha

Wajud Par Inhisar Maine Nahin Kiya Tha

Kaun Darwaza Khula Rakhta Barae Intizar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet