mere gham ka asar zara na hua
ye to patthar hua ḳhuda na hua
dekh lo aaj aa ke bismil ko
kaun jaane ye kal hua na hua
tark-e-ulfat ka ek hi gham hai
ye irada bhi der-pa na hua
tirchhi chitvan utar ga.i dil men
tiir kaj tha magar ḳhata na hua
jazba-e-shauq ho gaya dushman
mujh se iz.har-e-mudda.a na hua
vaqf-e-gardish huun surat-e-parkar
duur markaz ka fasla na hua
lauh-e-hasti se kyon miTate ho
main kabhi harf-e-mudda.a na hua
Leave a Reply