• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khuda Ali-Gadh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa de

Khuda Ali-Gadh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa de

akbar-allahabadi

khuda ali-gadh ki madrase ko tamam amraz se shifa de

bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade

latif o khush-vaza chust-o-chalak o saf-o-pakiza shad-o-khurram

tabiaton men hai un ki jaudat dilon men un ke hain nek irade

kamal mehnat se padh rahe hain kamal ghairat se badh rahe hain

savar mashriq ki raah men hain to maghribi raah men piyade

har ik hai un men ka be-shak aisa ki aap use jante hain jaisa

dikhae mahfil men qadd-e-raana jo aap aaen to sar jhuka de

faqir mangen to saaf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha

qubul farmaen aap davat to apna sarmaya kul khila de

buton se un ko nahin lagavat mison ki lete nahin vo aahat

tamam quvvat hai sarf-e-khvandan nazar ke bhole hain dil ki saade

nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai

electric light us ko samjhen jo barq-vash koi koi de

nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi

ye kah ke lete hain sab se chande hamen jo tum do tumhen khuda de

unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asal kar-e-aden hai

isi si hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge baap daade

makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain

khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jaade

dilon men un ke hai nur-e-iman qavi nahin hai magar nigahban

hava-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de

fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab

mita de akhir ko vaz-e-millat numud-e-zati ko gar badha de

yahi bas ‘akbar’ ki iltija hai janab-e-bari men ye dua hai

ulum-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh khuda de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bichhaD Kar Us Ka Dil Lag Bhi Gaya to Kya Lagega

poet

Yak-Ba-Yak Dil Se Tera Jalwa-Numa Ho Jaana

Tanhai Ka Ilaj Ye Mahnga Bahut paDa

Tawil Raat Ho Aisi Kinare Bhi Na Rahen

allama-iqbal

Jugnu Ki Raushni Hai Kashana-E-Chaman Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet