juda rahta huun main tujh se to dil be-tab rahta hai
chaman se duur rah ke phuul kab shadab rahta hai
andhere aur ujale ki kahani sirf itni hai
jahan mahbub rahta hai vahin mahtab rahta hai
muqaddar men likha kar laae hain ham boriya lekin
tasavvur men hamesha resham-o-kam-khvab rahta hai
hazaron bastiyan aa jaengi tufan ki zad men
miri ankhon men ab aansu nahin sailab rahta hai
bhale lagte hain schōlon ki uniform men bachche
kanval ke phuul se jaise bhara talab rahta hai
ye bazar-e-havas hai tum yahan kaise chale aae
ye sone ki dukanen hain yahan tezab rahta hai
hamari har pareshani inhi logon ke dam se hai
hamare saath ye jo halqa-e-ahbab rahta hai
badi mushkil se aate hain samajh men lucknow vaale
dilon men fasle lab par magar adab rahta hai
Leave a Reply