kisi chashm-e-hunar ki pasbani men nahin rahna
sitare ko ziyada der paani men nahin rahna
ye miTTi kyuun mire qadmon se lipTi hai ki jab main ne
hamesha ke liye duniya-e-fani men nahin rahna
kahin is dastan men ek aisa moḌ aa.ega
jahan kirdar ne apni kahani men nahin rahna
tujhe hamrah to rakh lunga main lekin dil-e-sada
tiri babat ziyada ḳhush-gumani men nahin rahna
mujhe ik aisi duniya bhi basani hai jahan ‘shahzad’
kisi ko bhi kisi ki hukmarani men nahin rahna
Leave a Reply