ghaflaton ka samar uThata huun
roz taaza ḳhabar uThata huun
baat baḌhti hai tuul dene se
so ise muḳhtasar uThata huun
ho ke bashinda ik sitare ka
ungliyan chand par uThata huun
chumte hain jise uTha kar log
main use chuum kar uThata huun
ab kahan asman chhune ko
zahmat-e-bal-o-par uThata huun
su-e-manzil men har qadam apna
ik falak chhoḌ kar uThata huun
vaar karti hai jab palaT kar mauj
ehtiyatan bhanvar uThata huun
apni maftuha sar-zaminon par
paanv rakhta huun sar uThata huun
Leave a Reply