Husn-E-Nazzara Sahi Jalwa-Dar-Aghosh Sahi

husn-e-nazzāra sahī jalva-dar-āġhosh sahī

ishq phir ishq hai be-ḳhud sahī mad.hosh sahī

kuchh nuqūsh aise bhī haiñ jo nahīñ miTte dil se

zindagī ishq kī ik ḳhvāb-e-farāmosh sahī

kuchh na kuchh sochnā paḌtā hai sukūñ kī ḳhātir

un kī mahfil na sahī maut kī āġhosh sahī

aa.ina ishq-o-mohabbat kā ba-har-hāl hai dil

shor-e-naġhma na sahī nāla-e-ḳhāmosh sahī

irtibāt-e-nazar-o-dil na miTā hai na miTe

maiñ to rū-posh nahīñ un se vo rū-posh sahī

Leave a Comment