talafi vafa ki jafa chahta huun
tumhin khud ye kah do bura chahta huun
koi mol le to bika chahta huun
main sahab se banda hua chahta huun
tumhin chaho mujh ko to kya chahiye phir
main is ke siva aur kya chahta huun
mira muddaa kya samajhte nahin ho
tumhen chahta huun to kya chahta huun
masiha ho gar tum to apne liye ho
main apne maraz ki dava chahta huun
tumhen chahun main tum raqibon ko chaho
ye insaf pesh-e-khuda chahta huun
Leave a Reply