chahe tu shauq se mujhe vahshat-e-dil shikar kar
apno se kaT chuka huun main apni ana ubhar kar
jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya
vo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar kar
ḳhud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de
ḳhud pe bhi iḳhtiyar rakh mujh pe bhi e’tibar kar
us ke yaqin-e-husn ka husn-e-yaqin to dekhiye
a.ina dekhta hai vo apni nazar utaar kar
rahen rafiq-e-rah ke shauq ka imtihan hain
jis men safar tavil ho rasta vo iḳhtiyar kar
teri zamin nasib ne tere hunar ko saunp di
ḳhvah chaman bana use ḳhvah tu regzar kar
‘anjum’ abhi hain raah men shab ki kaḌi masafaten
mahr falak par rah gaya din ka safar guzar kar
Leave a Reply