
Dil Ayubi
tire ḳhayal ke sadqe ye kya maqam aaya
kabhi hayat kabhi maut ka payam aaya
tira ḳhayal mira soz-e-arzu-e-sahar
koi to tha shab-e-furqat jo dil ke kaam aaya
kisi umiid ka maara dikha.i deta tha
vo ḳhush-nasib parinda jo zer-e-dam aaya
kisi ke ḳhat men kahen zikr tak na tha us ka
vo ik payam-e-ḳhususi jo dil ke naam aaya
na puchh kitni hayat-afrin hai rah-e-vafa
suna hai ‘dil’ bhi usi marhale men kaam aaya

Leave a Reply