kya ḳhabar thi vo mata-e-be-baha le ja.ega
chhin kar ankhon se ḳhvabon ki rida le ja.ega
main kaf-e-afsos hi malta rahunga umr bhar
vo miri ghairat ki dastar-o-qaba le ja.ega
kya ḳhabar thi is tarah badlega fitrat ka nizam
vaqt ke gulshan se ghunchon ki sada le ja.ega
paar karna hai use dariya magar ye dekhna
kah raha hai saath ik kachcha ghaḌa le ja.ega
surat-e-qazzaq koi aa.e ya manind-e-dost
‘shan’ koi aa.e mere ghar se kya le ja.ega
Leave a Reply