
Azeem Haider Syed
kise ḳhabar ki hai kya kya ye jaan thame hue
zamin thame hue asman thame hue
faza.en kuchh bhi nahin hain faqat nazar ka fareb
khaḌa hua hai koi asman thame hue
safina mauja-e-sail-e-bala se garm-e-satiz
hava ka bar-e-giran badban thame hue
gira hai koi jari ai fasil-e-shahr-e-tabah
muzahimat ka darida-nishan thame hue
saḌak ke paar chala ja raha hai bachta hua
kisi ka haath koi mehrban thame hue
ajab tilism sa manzar hai bhigti hui shaam
koi pari hai dhanak ki kaman thame hue

Leave a Reply