Raushni Meri Hua Chahti Hai

raushnī merī huā chāhtī hai

bas vo darvāza khulā chāhtī hai

qatl hone se bachā chāhtī hai

merī tanhā.ī duā chāhtī hai

bel ziddī hai junūñ kī merī

vo lipaTne ko havā chāhtī hai

ghar kā darvāza kabhī khultā nahīñ

phir bhī dahlīz diyā chāhtī hai

merī taḳhlīq ḳhafā hai mujh se

merī pahchān judā chāhtī hai

dil ye chāhe ki maiñ rūThūñ us se

ruuh kyuuñ zabt-e-anā chāhtī hai

kaash gulshan ne ye pūchhā hotā

kaun sā phuul ‘sabā’ chāhtī hai

Leave a Comment