suna hai aaj saba mushk-bar aa.i hai
bahut dinon men shab-e-intizar aa.i hai
kali kali ke tabassum se ḳhanda-e-gul tak
faza chaman ki kise sazgar aa.i hai
ye kya ki ḳhanda-e-gul ka tilism TuuT gaya
hansi labon pe jo be-iḳhtiyar aa.i hai
chaTak rahi hain ye kis ke ḳhayal ki kaliyan
ki dhaḌkanon ki sada baar baar aa.i hai
nigah-e-shauq agar jalva-gah tak ‘nashtar’
pa.e-qarar ga.i be-qarar aa.i hai
Leave a Reply