dekha jo us taraf to badan par nazar ga.i
ik aag thi jo mere piyale men bhar ga.i
un raston men nam-o-nasab ka nishan na tha
hangama-e-bahar men ḳhilqat jidhar ga.i
ik dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
vo kaun thi jo raqs ke aalam men mar ga.i
itna qarib pa ke use dam-ba-ḳhud tha main
aisa laga zamin ki gardish Thahar ga.i
Leave a Reply