paani ko patthar kahte hain
kya kuchh dida-var kahte hain
khush-fahmi ki had hoti hain
khud ko danish-var kahte hain
kaun lagi-lipti rakhta hai
ham tere munh par kahte hain
thiik hi kahte honge phir to
jab ye professor kahte hain
sab un ko andar samjhe the
vo khud ko bahar kahte hain
tera is men kya jaata hai
apne khandar ko ghar kahte hain
nazm samajh men kab aati hai
dekh is ko mantar kahte hain
Leave a Reply