aa.i bahar daur ho saaqi sharab ka
dariya baha de bazm men ashk-e-kabab ka
is aftab-e-ruḳh pe nazar apni paḌte hi
shabnam ki tarah uḌ gaya parda hijab ka
kis bevafa pe marta hai kya kijiye use
ghar aur ho kahin dil-e-ḳhana-ḳharab ka
karne to do saval karen hain to kya
ashiq huun main bhi ik but-e-ḳhana-ḳharab ka
har-dam vo mujh ko dekh ke abru chaḌhate hain
pyasa hai ḳhanjar un ka mire ḳhun-e-nab ka
qadmon ko chumta ai sanam ate-jate main
kyuun sang men bana nahin teri janab ka
sadme firaq-e-yar ke kya kam hain ai ‘nasim’
mahshar men mujh ko ḳhauf nahin kuchh hisab ka
Leave a Reply