
Asra Rizvi
raat phir ḳhvab men aane ka irada kar ke
chand Duba hai abhi mahv-e-nazara kar ke
tishnagi had se guzar ja.egi sahil ke qarib
fa.eda kya hai samundar ka taqaza kar ke
hairati huun abhi TuuTa hai bharam ulfat ka
de gaya maat vo phir mujh ko bahana kar ke
karta rahta tha mazahan vo bahut si baten
ab raqam karte rahe us ko fasana kar ke
maat chhal shah to faqat khel hai ik is ke liye
rakh diya meri mohabbat ko tamasha kar ke
chhoḌ jaane ko vo kahta tha pa ma.alum na tha
yuun chala ja.ega dam-bhar men paraya kar ke
aḳhir ‘asra’ tiri fitrat men ye ujlat kyuun hai
dekh le ranj abhi aur gavara kar ke

Leave a Reply