• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hua Chale Ya Ruke KHushnuma Saman Ho Jae

Hua Chale Ya Ruke KHushnuma Saman Ho Jae

hua chale ya ruke ḳhushnuma saman ho jaa.e

ye saat rang ka anchal jo badban ho jaa.e

sulag raha huun ka.i din se apne kamre men

daricha kholun to duniya dhuan dhuan ho jaa.e

badal ke naam suna rakkhi hai use har baat

ye ek baat bata duun to raz-dan ho jaa.e

main apne aap ko chhoḌ aaya huun kahin pichhe

kuchh aur tez chalun main to karvan ho jaa.e

yahin kahin vo mire saath tha main sochta huun

yahan ghaḌi do ghaḌi koi sa.eban ho jaa.e

ye intishar hai tartib-e-nau na jaan ise

ki ka.enat ki har shai yahan vahan ho jaa.e

sarishk-e-gham ko tabassum ki siip men rakhiye

ki raaz raaz rahe hal-e-dil bayan ho jaa.e

paron pe titli ke paigham likh ke bhejun main

hava ka jhonka kisi din ḳhabar-rasan ho jaa.e

jahan ki riit hai kohram machne lagta hai

kisi ko ishq ho ya marg-e-na-gahan ho jaa.e

abhi to jism mira dhuup ki amaan men hai

para.e saa.e men aa kar na be-aman ho jaa.e

hai is jahan ki har baat aam si lekin

jo sachche sher men Dhal jaa.e dastan ho jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dekh Kar Shama Ke Aaghosh Mein Parwane Ko

fahmida-riaz

Nazr-E-Firaq

poet

Kya Khabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi

Yahan Se Ab Kahin Le Chal KHayal-E-Yar Mujhe

Ek Pal Jita Hai to Tahir Ek Pal Marta Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet