ḳhuda ke zikr men mashghul hain jo mast pahaḌ
samajh ga.e hain yaqinan ada-e-vaqt pahaḌ
hamari zaat ta.ajjub ki ek duniya hai
kahin pe jhiil samundar kahin daraḳht pahaḌ
tumhare saath dua.en ata.en zad-e-safar
hamare saath musalsal sarab dasht pahaḌ
ḳhabar hava se mili hai tumhari aamad ki
magar ise bhi samajhte hain auj-baḳht pahaḌ
jo chal paḌe to Thaharne ka phir javaz nahin
hamare hausle ‘faisal’ ki jaise saḳht pahaḌ
Leave a Reply