hasinon ke sitam ko mehrbani kaun kahta hai
adavat ko mohabbat ki nishani kaun kahta hai
ye hai ik vaqa.i tafsil meri ap-biti ki
bayan-e-dard-e-dil ko ik kahani kaun kahta hai
yahan har-dam na.e jalve yahan har-dam na.e manzar
ye duniya hai na.i is ko purani kaun kahta hai
tujhe jis ka nasha har-dam liye phirta hai jannat men
bata ai shaiḳh us kausar ko paani kaun kahta hai
tariqa ye bhi hai ik imtihan-e-jazba-e-dil ka
tumhari be-ruḳhi ko bad-gumani kaun kahta hai
bala hai qahr hai aafat hai fitna hai qayamat ka
hasinon ki javani ko javani kaun kahta hai
fana ho kar bhi hasil hai vahi rang-e-baqa us ka
hamari hasti-e-fani ko faani kaun kahta hai
hazaron ranj is men ‘arsh’ lakhon kulfaten is men
mohabbat ko surud-e-zindagani kaun kahta hai
Leave a Reply