kabhi junun to kabhi agahi ki qaid men huun
main apne zehn ki avargi ki qaid men huun
sharab mere labon ko taras rahi hogi
main rind to huun magar tishnagi ki qaid men huun
na koi samt na jaada na manzil-e-maqsud
yugon yugon se yunhi be-ruḳhi ki qaid men huun
kisi ke ruḳh se jo parda uTha diya main ne
saza ye paa.i ki divangi ki qaid men huun
ye kis ḳhata ki saza men hain dohri zanjiren
giraft maut ki hai zindagi ki qaid men huun
na jaane kitni naqaben ulaTta jaata huun
janm janm se main bechargi ki qaid men huun
yahan to parda-e-simin pe chal rahi hai film
main jis jagah huun vahan raushni ki qaid men huun
jahan main qaid se chhuTun vahin pe mil jaana
abhi na milna abhi zindagi ki qaid men huun
gharaz nasib men likkhi rahi asiri hi
kisi ki qaid se chhuTa kisi ki qaid men huun
gunah ye hai ki kyuun apna naam rakha ‘nur’
vo din aur aaj ka din tirgi ki qaid men huun
Leave a Reply