ḳhizan men aag lagao bahar ke din hain
nae shagufe khilao bahar ke din hain
ulaT do taḳhta ḳhizan ki tabah-kari ka
bisat-e-aish bichhao bahar ke din hain
ezar-e-gul ki dahak se jala ke kanTon ko
lagi dilon ki bujhao bahar ke din hain
mila ke qatra-e-shabnam men rang o nik.hat-e-gul
koi sharab banao bahar ke din hain
bhare kaTore chaman ke ye dars dete hain
chhalakte jaam lundhao bahar ke din hain
ab ehtiyat-pasandi hai sai-e-na-mashkur
mata-e-zabt luTao bahar ke din hain
sharar-e-gul se zamane men shole bhaḌka do
hasin fitne jagao bahar ke din hain
junun-e-shauq ki be-e’tidaliyon ke ḳhilaf
koi dalil na laao bahar ke din hain
purani shamen bujha diin saba ke jhonkon ne
nae charagh jalao bahar ke din hain
lachak rahi hai vafur-e-samar se shaḳh-e-hayat
ye baar hans ke uThao bahar ke din hain
janab-e-aḳhtar-e-jan-dada-e-ruḳh-e-gul ko
imam-e-vaqt banao bahar ke din hain
Leave a Reply